Monday, June 13, 2016

Whatsapp Bina Internet Connection Kaise Chalayen Jane Best Tips

Whatsapp ek popular app ho chuka hai jise dunya ki aadhi se adhik aabadi apne android aour smart phone me istemal kar rahi hai. wahin badalte samay ke sath iski upyogita badhti jaa rahi hai. kaha jaye to is ka lat har kisi ko lag chuka hai aour sabhi ko aasan lagta hai aour is ko ham sabhi bina kisi kism ke pareshani ke use kar paate hain aour ho bhi kyon na whatsapp ek bahut behatar app hai aour iske sabhi future sabhi ke layak hai aour sab ko pasand aane wala hai sabke jarurat ke mutabik hai . ham is par aasani se chat kar sakte hain ,video share kar sakte hain, audio share karna bhi aasan hai. itna pasandeeda app ko chalane ke liye hame internet ki jarurat padti hai aour internet ham kabhi-kabhi hamesha nahi rakh paate ya is tarah hamare sath koi majburi hoti hai to aise kabhi bhi hamare mind me aisa soch aaya hoga ki kaash  ye app ham bina kisi internet ke use kar paate . to dosto isi ke bare me mera aaj ka ye article hai ise dhyan se padhiye kyon ki main is me batane jaa raha hun ki kaise aap apna whatsapp bina internet connection ke use kar sakte hai.



whatsapp bina internet ke chalaye



Bina Internet Whatsapp Chalane Ke Liye Kya Chahiye?


waise dekha jaye to ham internet jyada use nahi karte fir bhi hame chat application ko chalane ke liye net packs rakhna padta hai aour is me hamara mahine ka jayada mb aour iske sath laga paisa bekar chala jaata hai. aise bahut se log hain jo kewal whatsapp, facebook, aour other chat apps hi use karte hain iske alawa aour kuch net se nahi karte hain unke liye net pack bhari hota hai kyonki majburi me unhe wo packs rakhna hi padta hai chahe wo ise pura use karen ya na karen. aise me hamara paisa barbad ho jaata hai aour hame uska koi labh nahi milta. ise dhyan me rakhte huye ek sim taiyaar kiya gaya hai jis name hai chat sim .
shayad hi aap ko pata ho ki chat sim se aap whatsapp hi nhai balki facebook messenger, line, telegram ka bhi use kar sakte hain. 


ye bhi jane-  facebook jaise apna social media site free me kaise banaye best guide


Chat Sim Kya Hai?



chat sim dunya ka pahla aisa sim card hai jisme bina kisi internet ke sabhi chat application chalaye jaa sakte hain. is se aap unlimited text massage bhej sakte hain aour receive kar sakte hain.  likin photo, video, aour audio nahi bhej sakte is ke liye aap ko alag se pack lena hoga.


also read- champcash mobile app se free unlimited dollar aour recharge

Kaise Kaam Karta Hai Chat Sim?



chat sim jaise hi phone me lagate hain waise hi local network operates ko search kar data se connect ho jata hai. is par company ka kahna hai ki sim card lagte hi aas paas moujud sabse best network ko ye connect karta hai. connect hote hi aap chat shuru kar sakte hain. chat sim use karte hi aap sabhi chat application ko bina internet connection ke kar sakte hain.


ye bhi jane4g plan 50 rupye me 1 gb data 3 month ki validity ke sath

Kaise Chat Sim Milega?



chat sim duniya ke 150 deshon me uplabdh hai jise india bhi shamil hai. india me is ke seva ka labh uthane ke liye aap ko 900 rupye saalaana (yearly ) chukana hoga. is se judi ek aour khas baat hai wo ye ki aap ko chat sim kisi store par nahi milega agar aap ise lena chahte hai to aap ko ise online order kar ke magana hoga.



to doston ye article aap ko kaisa laga hame comment kar sakte hain aour is post ko apne facbook aour twitter par jarur share karen  aour latest new update ke liye apna e-mail subscribe karen.


thanks for visit.





Share:

0 comments:

Post a Comment

Aap ke coments ka ham swagat karte hain.
Comment se pahle is niyam ko jarur padhen.

1- Aap ka comment approval ke baad website par show hoga.

2- Comments post se sambandhit hi karen jis se hame aour aap ko suvidha ho

3- Apna asli naam aour id ka istemaal karen .

4- Comments me galat bhasha ka upyog na karen.

5- Comments me kisi link ka paryog na karen .

Ham aap ke comments ka jawab jald se jald dene ki koshish karen-ge.

Enjoy commenting .

Copyright © Best internet site for new technology | Powered by Blogger
Design by SimpleWpThemes | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com