Friends aap ne dhyaan diya hai ki aap ke phone ka internet data kaise itni speed se kharch hota hai? aap jaise hi data on karte hain aour kuchh der baad off karte hain to itne me hi aapka bahut data kharch ho jaata hai. to jarurat hai aap ko is par dhyaan dene ki kyon aisa hota hai? kya aisa hona chahiye?. bilkul nahi ham jita net use kare utna hi hamar kharch hona chahiye. agar aisa nahi hota hai to hame kya karna hoga jis se ki hama extra daata kharch na ho is ke liye is article ko padhiye aour jaaniye ki kaise aap ka phone me moujud feature aap ka net churate hai aour kaise aap is samasya ko door kar sakte hain aour apna keemti internet bacha sakte hain.
agar aap ne new phone khareeda hai aour aap ka internet data tezi se khatam ho raha hai to iske liye phone me moujud kuchh feature jimmedaar ho sakte hain jinhe on kar ke hi companiyan customer ko deti hai. users aksar in feature se anjaan hote hain aour data khapat ke liye telecom companies ko koste hain jabki aise me phone setting me badlaw hi ek matr raasta hai internet data ko bachaane ka. aayie ham jaante hain kuchh feature jinhe off karne se ham save kar sakte hain net ko aour us ko kaise off kiya jaye iska treeka jante hain.
ye bhi jane- 4g plan 50 rupye me 1 gb data 3 month ki validity ke sath
android operating system par karne wale smart phone me adhi-kaans files ka backup banta chalaa jaataa hai taki phone ke gum ya kharab hone ki sthiti me jaruri files ko dobaaraa hasil kiya jaa sake. ye files gmail account ke jariye google drive par save hoti chali jaati hai jo ki internet data ki khapat karta hai. in me instant massaging application par aane waale massage, video, aour audio files bhi shamil hoti hain. users phone ke auto sync mode ko off kar ke files ko google drive par save hone se rok sakta hai.
iske liye apne phone ki setting me jayen aour waha moujud account ka option chune. aap ko google account ka option dikhega is par click karne par un gmail ki list aa jaayegi jin par aap ka backup ban raha hai. us account par click kar ke sync option ko off kar den.
ye bhi padhen- whatsapp bina internet connection kaise chalayen jane best tips
internet surfing ke liye jyadah users google ke chrome browser ya uc browser ko pasand karte hain. in dono browsers me data kam khapat karne ka vikalp moujud hai. bas users ko settings me jaa kar saving mode ko on karne ki jarurat padti hai.
chrome browser me data khapat kam karne ke liye phone ki setting kholen. yahaan aapko data saver ka option milega. ise chun-ne par ek naya baar khulega jisme uper right side ki taraf diye gaye batan par tap karne par 'data saver' mode on ho jayega. users isi tarah uc browser ki setting me moujud 'text only mode' ko on karke internet surfing ke douran data ki khapat ko ghata sakte hain.
ye bhi jaane- facebook jaise apna social media site free me kaise banaye best guide
youtube, netflix aour google play musics jaise app internet data ki ahmiyat samajhte hain. is liye in par video ki quality chun-ne ka option diya gaya hai. HD video jayada net khaate hai aour normal video par samaanya aour low quality ki video chalane par yah kafi kam ho jati hai.
youtube par apni manchahi video quality chun-ne ke liye uski settings me jaayen. yahan aap ko general ka option milega. use chun-ne par screen par limit data uses ka option khul kar aa jaayegaa. ise on kar den. ab aap ke phone me youtube ke HD video tabhi play honge jab wah wi fi network se connect honga.
ye bhi jaane- neobux complete guide ptc site se kaise kamaye $100 daily
companies aksar apne smart phone app ka update jaari karti hain.kayi baar wo app se kuchh new feature jodti hai to kayi baar us me moujud 'bag' hataati hai. jaruri nahi hai ki har update users ke liye upyogi ho aise update aap ka data na khayen is liye aap apne phone me auto update mode off rakhen.
iske liye aap apne phone ke google play store me jayen. wahan diye gaye setting option par click karen. aap ko uper ki taraf 'auto update apps' likha milega. use chun-ne par 3 anya option najar aayenge
(a) do not auto update.
(b) auto update anytime.
(c) auto update apps over wifi only.
app in me se pahla option choose kar sakte hain.
agar aap teesraa option choose karte hain to aap ke app tabhi update honge jab aap wifi network ka use karenge.
to is tarah se aap apne phone ke datako extra kharch hone se rok sakte hain aour apna data sahi istemal kar sakte hai .
ye article kaisa laga aap hame comment kar sakte hain aour is article ko apne dosto ke sath social sites par share jarur karen. aour is site ki latest update ke apna E-mail free subscribe karen.
Kaise Hota Hai Data Chori ?

Auto Sync Off Karen.

Data Saver Mode Apnaaye

Video Quality Ko Ghataayen.
youtube, netflix aour google play musics jaise app internet data ki ahmiyat samajhte hain. is liye in par video ki quality chun-ne ka option diya gaya hai. HD video jayada net khaate hai aour normal video par samaanya aour low quality ki video chalane par yah kafi kam ho jati hai.
youtube par apni manchahi video quality chun-ne ke liye uski settings me jaayen. yahan aap ko general ka option milega. use chun-ne par screen par limit data uses ka option khul kar aa jaayegaa. ise on kar den. ab aap ke phone me youtube ke HD video tabhi play honge jab wah wi fi network se connect honga.
ye bhi jaane- neobux complete guide ptc site se kaise kamaye $100 daily
Auto Update Rakhen Off.
companies aksar apne smart phone app ka update jaari karti hain.kayi baar wo app se kuchh new feature jodti hai to kayi baar us me moujud 'bag' hataati hai. jaruri nahi hai ki har update users ke liye upyogi ho aise update aap ka data na khayen is liye aap apne phone me auto update mode off rakhen.
iske liye aap apne phone ke google play store me jayen. wahan diye gaye setting option par click karen. aap ko uper ki taraf 'auto update apps' likha milega. use chun-ne par 3 anya option najar aayenge
(a) do not auto update.
(b) auto update anytime.
(c) auto update apps over wifi only.
app in me se pahla option choose kar sakte hain.
agar aap teesraa option choose karte hain to aap ke app tabhi update honge jab aap wifi network ka use karenge.
to is tarah se aap apne phone ke datako extra kharch hone se rok sakte hain aour apna data sahi istemal kar sakte hai .
ye article kaisa laga aap hame comment kar sakte hain aour is article ko apne dosto ke sath social sites par share jarur karen. aour is site ki latest update ke apna E-mail free subscribe karen.
0 comments:
Post a Comment
Aap ke coments ka ham swagat karte hain.
Comment se pahle is niyam ko jarur padhen.
1- Aap ka comment approval ke baad website par show hoga.
2- Comments post se sambandhit hi karen jis se hame aour aap ko suvidha ho
3- Apna asli naam aour id ka istemaal karen .
4- Comments me galat bhasha ka upyog na karen.
5- Comments me kisi link ka paryog na karen .
Ham aap ke comments ka jawab jald se jald dene ki koshish karen-ge.
Enjoy commenting .