Wednesday, May 4, 2016

Neobux Reted Referral Manage Kaise Karen Full Guide

waise to ham ptc site register kar lete hain aour ham kuchh earning bhi karne lagte hain aour kuchh referrals bhi ham apne account me rent kar lete hain magar hamari earning me groth nahi ho paata hai karan hota hai ki ham apne referrals jo hamne rent kiye hain unko sahi se manage na karna is article me main aap ko batane wala hun ki aap kaise apne rented referrals ko sahi se manage kar sakte hain to bas aap dheyan se is article ko padhiye aour janiye ki kaise aap ko manage karna hai. neobux earning ka main hissa hai referral aour is ko ignore karne ka matlab hai ki ham paise ko ignore kar rahe hain . paisa ko ignore karne walaa weyakti kabhi kaamyaab nahi ho sakta .aap ko main suggess karunga aap aisa naa karen to hi aap kamyab ho sakten hain .

neobux rented referral manage


 rented referral kya hai?


sabse pahle ham baat karenge ki rented referral kya hai ? ye wo neobux ka khas hissa hai jo earning ko badhane ke liye kaam aata hai yani ham earning ko kayi  guna badha paate hain is se hame bahut profit hota hai jaise kisi company ke maalik ko uske worker se hota hai usi tarah hame referral se profit hota hai neobux me do tarah ke referral system hai .


1- direct referral 


2-  rented referral


(1)---direct referral wo hota hai jo ki aap apne dost ya relative ya family kisi ko bhi aap khud apne referral link se sign-up karwa-yen  wo direct referral hota hai.


(2)--- rented referral wo hota hai jo bina kisi referral link ke sign-up hota hai aour use ham paise dekar 30 din ke liye apne liye rent karte hai jo hamare liye work karta hai.


ab aap samajh gaye honge ki rented referral kya hai .


rented referral kab rent karen ?


waise to neobux hame option deta hai ki $ 0.60 me 3 referral ren kar sakte hai magar mera  maan-na hai ki aap aisa na karen apne accunt me $ 1 pura hone tak dhairy rakhen aour jab aap ke paas  $ 1  ho jaye to aap  5  referral rent karen kyonki 3 referral pack sahi nahi hota hai to aap bilkul  itminaan se apne account ko add clicking ke help se dheere-dheere badhate rahen aour jaldi na karen kyonki kahawat hai jaldbaaji ka kaam shaitaan ka yani shaitan kabhi sahi kaam nahi karta to ab aap samajh hi chuke honge ki aap ko kya karna chahiye.


referral kaise rent karen ?


ye bahut assan hai aap bas mere simple se step ko follow karte jayen aour aasani se aap apne referral ko rent kar paoge .

1- sabse pahle aap neobux ki site open karen .

2- ab apne account se login karen.

3- ab aap ke samne aap ka account open hoga wahan right side me dekhen 3 -4 option honge usme ek hoga referral aap ko us par click karna hai. neeche screen shout me  dekhen 

rented referrals

agar abhi tak aap ne neobx joine nahi kiya to neehe diye linck se neobux abhi joine karen 


JOIN NOW NEOBUX



4- jab aap aap referral par click karenge to aap dekhenge ki aap ka referral account me $ 0.00 balance hoga ghabrayen nahi ham aap ko bata rahe hain kya karna hai  aap ko bas mere step ko follow karna hai aour aap successfully apna rented referral rent kar lenge  to chliya ham aap ko batate hain ki ab aap ko kya karna hai. wahn aap ke balance ke paas likha hoga add funds bas aap ko us apr click karna hai. neeche dekhen kaise karna hai.

rented balance add funds


5-  jab aap aad funds par click karenge to ab aap ko agle step me ye karna hai ki aap apna rental balance kaha se transfer karna chahte hai wo choose karna hai aap chaahen to paypal aour payza aour neteller se bhi apne rented balance ka funds transfer kar sakte hai agar aap inme se kisi bhi option se nahi transfer karna chahte to aap main balance ka option choose karen main balance yani ki aap ka neobux earning jo aap ne add click se kamaye hain. neeche dekhen.


select main balance for rent


6- ab jo page open hoga usme aap ko kitan balance transfer karna hai ye select karna hoga select karne ke baad aap ko finely transfer par click karna hoga neeche dekhen.



rental fund final


7- ab apka balance rental balance me transfer ho gaya hai ab aap ko apna referral ren karna hai iske liye aap ko fir se wapas aana hoga pahle aap user name par click karen > fir referral par click karen> aour yahan aap ko referral pack choose karna hai aour final step yes par click karna hai. neeche dekhen.


referral pack choose


ab aap ne successfully rental referral ko 30 din ke liye rent kar liya hai ab un ko aap ko manage karna hai .



referral ko manage kaise karen?


rental referral rent karna jitna jaruri hai utna hi jaruri unko manage karna bhi hai un ko manage kaise karna hai main aap ko simple step me samjhata hun .
sab se pahle aap dekhen ki kis referral ne kab ktna click kiya ya uska average kya hai yani ki uska average kam se kam 3 ka hona chahiye waise to 4 ka average hota hai agar is se kam hai ya 3-4 din se click nahi kar raha hai to aap us referral ko recycle kar den achhe se samajhne ke liye screen shot ko dekhen.

rented referral


is saf najar aa raha hai ki kisne kitna click kiya huwa hai ab jis ka bhi kam click hai us ko ham recycle karenge waise to neobux 14 din agar koi click na kare to khud recycle kar deta hai par hame 14 din wait nahi karna chahiye hame apne se referral ko recycle kar lena chahiye jiska cost hai kewal $ 0.07 ya fir 93 points 

in ko recycle karna bahut aasan hai right side me jo box hai us me click karna hai jab aap click karenge  uske baad aap ko neeche ek drop down menu dikhayi degi us par click karne par ek  list dikhayi degi jis me sabse pahala option hoga (i want to recycle them ) apko ye select karna hai ab aap se payment option puchhega ki aap koun sa balance use karna chahte hai rental balance hai to aap ye select kar sakte hain warna aap points   (point wo hota hai jo aap add dekhte ho us ke sath aap ko 1 point bhi milta hai ) ya fir main balance choose kar sakte hai  select karne ke baad aap yes kar den congratulation aap ne apna referral recycle kar liya hai ab aap aise hi hamesha chek karte rahen aour manage karte rahe aap success full user ban jayenge.

to dosto agar is article me kuchh aap ko samajh na aaya ho to aap mujh se comment me puchh sakte hain aour ise share karna na bhoole .

thanks for reading.


Share:

0 comments:

Post a Comment

Aap ke coments ka ham swagat karte hain.
Comment se pahle is niyam ko jarur padhen.

1- Aap ka comment approval ke baad website par show hoga.

2- Comments post se sambandhit hi karen jis se hame aour aap ko suvidha ho

3- Apna asli naam aour id ka istemaal karen .

4- Comments me galat bhasha ka upyog na karen.

5- Comments me kisi link ka paryog na karen .

Ham aap ke comments ka jawab jald se jald dene ki koshish karen-ge.

Enjoy commenting .

Copyright © Best internet site for new technology | Powered by Blogger
Design by SimpleWpThemes | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com