Sunday, June 19, 2016

Mobile Android App Bina Install Kiye Hoga Istemaal Hindi Me Jaane

Ab tak ham kisi mobile app ko istemal karne ke liye pahle us ko download karna padta hai fir us ko ham use kar paate hain. isme kayi tarah ka hamara nuksan hai wo kaise main aap ko bataa raha hun ki kaise ham kabhi is par bhale hi dhyan na den magar jo is ke expart hote hain wo har cheej ko badi baariki se lete hain tabhi to wo hamaare behtar se behtar cheejen uplabhd kara paate hain. aayiye ham samajhte hain isme hamaara nuksaan kya hota hai pahla nuksaan ye hota hai ki hame kisi aap ko download karne me data kharch hota hai. dusraa nuksan ye hota hai ki hamare mobile ki memory harti hai jis se hamare ram par loade padta hai aour hamara phone slow ho jaata hai. teesraa nuksan ye hota hai ki kisi app ka ham bahut kam istemaal karte hain magar phir bhi hame us app ko sambhalna padta hai kyonki jarurat padne par hame fir se download karna padega aour isme hamara fir se data aour time dono waist honge. isme aour bhi nukasaan hote hain jaise jyaadah app ke hone se mobile ka hang hone ka khatra rahta hai, mobile data jyaada khapat hota hai, phone slow ho jaataa hai. in sab barikiyon ko expart samajhne ke baad is par kaam karne lage aour aour technique ke liye unhone mehnat kiya aour aisa hona sambhaw banaya ki ham bina install kiye hi kisi bhi app ko use kar sakte hain.



how to use all android apps without installation



Is seva Ka Labh Kaise Milega ?


Is seva ka laah lene ke liye aap ko bas google ka naya app Instent app rakhna hoga. google ne apne event I/O 16 me yah sanket diye hai ki smartphone par android app ko istemaal karne ke liye bina install kiye bina hi usko use kiya jaa sakta hai. google is technique ko jald hi logon ke beech pesh karega. google ne instant app ki ghoshna ki hai. is ki help se users kisi bhi android app ko apne phone me bina install ya download kiye hi app ko use kar sakenge.



ye bhi jane-  whatsapp bina internet connection kaise chalayen jane best tips

Instant App Kaise Kaam Karega?



Is app me aisi technique ka istemaal kiya gaya hai ki jab users play store me app ke link par click karenge usi samay apni jarurat ke hisaab se google deta fetch kar lega  aour application turant kaam karne lagega. company ne kaha hai ki yah service mobile web ke liye ek game changer saabit hoga. android instant app ko saal ke ant me launch kiya jaa sakta hai.

company ne apne I/O devoloper confrance 2016 me bina install kiye app use karke dikhaya. pahle example ke tour par "BUZZFEED VIDEO" ka istemaal kiya gaya. is douran paayaa gaya hai ki bina install kiye app sirf 2 secend me kaam karne lagaa, wahin dusra example "B&H's" android ka liya gayaa isme bina app install kiye camra bag ki kharidaari ki gayi jisme 3 click aour 30 secend ka samay laga. 4.4 kitkat chal rahe android divice par demo rial-time par kaam karta najar aaya.

ye bhi padhen- facebook jaise apna social media site free me kaise banaye best guide

ye bhi jaane- Internet data tezi se khatm hone se bachaane ka top jaankari hindi me


yebhi padhen- 4g plan 50 rupye me 1 gb data 3 month ki validity ke sath



Video Calling App "ALLO" aour "DUO" ko Google ne Kiya launch.



Whatsapp, skyp, aour viber jaise instant massaging aour video chatting app se muqaable ke liye Google ne 2 new app "Allo" aour "Duo" launch kar diye hain. Allo google ka instant masseging app hai wahin "Duo" ek video calling app hai jo kamjor network hone ke baad bhi acche se kaam karega.

company ne ye app apne I/O developer conference 2016 me instant massaging app Allo aour video chatting app Duo ko pesh kiya . ye app android aour IOS dono platform par kaam karenge. khaas baat hai ki Google ne is baar apne moujuda hangout ko aage badhaane ke bajaay new app ka sahara liya hai.
final word:- jo bhi magar ham users ke liye ye bahut hi fayde waala app hai is se hamara data aour time to save hoga hi sath hi jo hame video calling me kamjor data hone ki wajah se jo dikkat aati hai us se raahat milne ka awsar mila hai is app ki help se ham apno se baat karte time sahi se baat kar sakenge koi rukaawat nahi aayega aour baat karne me jo ruk-ruk akr awaz kaa aana ya video ka fat jaana in sab samasya ka ab samadhan sa dikh raha hai. is ke alawa jo instant aap hai us ke liye to mere paas shabd nahi mil paa rahen hai ki main kis shabde se uski tareef karun kyon ki aisa pahla azooba sa lag raha ki bina install aour bina download kiye aap ke use hone se hamari kayi sari samasya se hame chhutkaara mil gaya isi liye to kahte hain ki ham bhale hi kisi ki jarooraton ke uper dhyan nadete hon par koi to hamari jarooraton ke baare me soch raha hai aour isi ka nateeja ye amazing apps hain .

doston mujhe ummeed hai ki ye article aap ko behad pasand aayaa hoga to is article ko aap apne doston ke sath facebook, aour twitter par share karen. aour aise hin new update ke liye apna E-mail hamre saath free subscribe karen taaki jab bhi hamari website par kisi new technology ke bare me publish kiya jaayega to sabse pahle aap ko sidhe aap ke E-mail par mil jaayega.


app ko ye article bhi padhna chahiye- neobux complete guide ptc site se kaise kamaye $100 daily



champcash mobile app se free unlimited dollar aour recharge

thanks for visit.







Share:

Thursday, June 16, 2016

Internet Data Tezi Se Khatm Hone Se Bachaane Ka Top Jaankari Hindi Me

Friends aap ne dhyaan diya hai ki aap ke phone ka internet data kaise itni speed se kharch hota hai? aap jaise hi data on karte hain aour kuchh der baad off karte hain to itne me hi aapka bahut data kharch ho jaata hai. to jarurat hai aap ko is par dhyaan dene ki kyon aisa hota hai? kya aisa hona chahiye?. bilkul nahi ham jita net use kare utna hi hamar kharch hona chahiye. agar aisa nahi hota hai to hame kya karna hoga jis se ki hama extra daata kharch na ho is ke liye is article ko padhiye aour jaaniye ki kaise aap ka phone me moujud feature aap ka net churate hai aour kaise aap is samasya ko door kar sakte hain aour apna keemti internet bacha sakte hain. 



how save internet data




Kaise Hota Hai Data Chori ?



agar aap ne new phone khareeda hai aour aap ka internet data tezi se khatam ho raha hai to iske liye phone me moujud kuchh feature jimmedaar ho sakte hain jinhe on kar ke hi companiyan customer ko deti hai. users aksar in feature se anjaan hote hain aour data khapat ke liye telecom companies ko koste hain jabki aise me phone setting me badlaw hi ek matr raasta hai internet data ko bachaane ka. aayie ham jaante hain kuchh feature jinhe off karne se ham save kar sakte hain net ko aour us ko kaise off kiya jaye iska treeka jante hain.

ye bhi jane- 4g plan 50 rupye me 1 gb data 3 month ki validity ke sath

Auto Sync Off Karen.



android operating system par karne wale smart phone me adhi-kaans files ka backup banta chalaa jaataa hai taki phone ke gum ya kharab hone ki sthiti me jaruri files ko dobaaraa hasil kiya jaa sake. ye files gmail account ke jariye google drive par save hoti chali jaati hai jo ki internet data ki khapat karta hai. in me instant massaging application par aane waale massage, video, aour audio files bhi shamil hoti hain. users phone ke  auto sync mode ko off kar ke files ko google drive par save hone se rok sakta hai. 
iske liye apne phone ki setting me jayen aour waha moujud account ka option chune. aap ko google account ka option dikhega is par click karne par un gmail ki list aa jaayegi jin par aap ka backup ban raha hai. us account par click kar ke sync option ko off kar den.


ye bhi padhen-  whatsapp bina internet connection kaise chalayen jane best tips


Data Saver Mode Apnaaye



internet surfing ke liye jyadah users google ke chrome browser ya uc browser ko pasand karte hain. in dono browsers me data kam khapat karne ka vikalp moujud hai. bas users ko settings me jaa kar saving mode ko on karne ki jarurat padti hai. 
chrome browser me data khapat kam karne ke liye phone ki setting kholen. yahaan aapko data saver ka option milega. ise chun-ne par ek naya baar khulega jisme uper right side ki taraf diye gaye batan par tap karne par 'data saver' mode on ho jayega. users isi tarah uc browser ki setting me moujud 'text only mode' ko on karke internet surfing ke douran data ki khapat ko ghata sakte hain.



ye bhi jaane- facebook jaise apna social media site free me kaise banaye best guide



Video Quality Ko Ghataayen.



youtube, netflix aour google play musics jaise app internet data ki ahmiyat samajhte hain. is liye in par video ki quality chun-ne ka option diya gaya hai. HD video jayada net khaate hai aour normal video par samaanya aour low quality ki video chalane par yah kafi kam ho jati hai.
youtube par apni manchahi video quality chun-ne ke liye uski settings me jaayen. yahan aap ko general ka option milega. use chun-ne par screen par limit data uses ka option khul kar aa jaayegaa. ise on kar den. ab aap ke phone me youtube ke HD video tabhi play honge jab wah wi fi network se connect honga.



ye bhi jaane- neobux complete guide ptc site se kaise kamaye $100 daily



Auto Update Rakhen Off.



companies aksar apne smart phone app ka update jaari karti hain.kayi baar wo app se kuchh new feature jodti hai to kayi baar us me moujud 'bag' hataati hai. jaruri nahi hai ki har update users ke liye upyogi ho aise update aap ka data na khayen is liye aap apne phone me auto update mode off rakhen.
iske liye aap apne phone ke google play store me jayen. wahan diye gaye setting option par click karen. aap ko uper ki taraf 'auto update apps' likha milega. use chun-ne par 3 anya option najar aayenge 
(a) do not auto update. 
(b) auto update anytime. 
(c) auto update apps over wifi only.
app in me se pahla option choose kar sakte hain.
agar aap teesraa option choose karte hain to aap ke app tabhi update honge jab aap wifi network ka use karenge.

to is tarah se aap apne phone ke datako extra kharch hone se rok sakte hain aour apna data sahi istemal kar sakte hai .

ye article kaisa laga aap hame comment kar sakte hain aour is article ko apne dosto ke sath social sites par share jarur karen. aour is site ki latest update ke apna E-mail free subscribe karen.


thanks for visit




Share:

Monday, June 13, 2016

Whatsapp Bina Internet Connection Kaise Chalayen Jane Best Tips

Whatsapp ek popular app ho chuka hai jise dunya ki aadhi se adhik aabadi apne android aour smart phone me istemal kar rahi hai. wahin badalte samay ke sath iski upyogita badhti jaa rahi hai. kaha jaye to is ka lat har kisi ko lag chuka hai aour sabhi ko aasan lagta hai aour is ko ham sabhi bina kisi kism ke pareshani ke use kar paate hain aour ho bhi kyon na whatsapp ek bahut behatar app hai aour iske sabhi future sabhi ke layak hai aour sab ko pasand aane wala hai sabke jarurat ke mutabik hai . ham is par aasani se chat kar sakte hain ,video share kar sakte hain, audio share karna bhi aasan hai. itna pasandeeda app ko chalane ke liye hame internet ki jarurat padti hai aour internet ham kabhi-kabhi hamesha nahi rakh paate ya is tarah hamare sath koi majburi hoti hai to aise kabhi bhi hamare mind me aisa soch aaya hoga ki kaash  ye app ham bina kisi internet ke use kar paate . to dosto isi ke bare me mera aaj ka ye article hai ise dhyan se padhiye kyon ki main is me batane jaa raha hun ki kaise aap apna whatsapp bina internet connection ke use kar sakte hai.



whatsapp bina internet ke chalaye



Bina Internet Whatsapp Chalane Ke Liye Kya Chahiye?


waise dekha jaye to ham internet jyada use nahi karte fir bhi hame chat application ko chalane ke liye net packs rakhna padta hai aour is me hamara mahine ka jayada mb aour iske sath laga paisa bekar chala jaata hai. aise bahut se log hain jo kewal whatsapp, facebook, aour other chat apps hi use karte hain iske alawa aour kuch net se nahi karte hain unke liye net pack bhari hota hai kyonki majburi me unhe wo packs rakhna hi padta hai chahe wo ise pura use karen ya na karen. aise me hamara paisa barbad ho jaata hai aour hame uska koi labh nahi milta. ise dhyan me rakhte huye ek sim taiyaar kiya gaya hai jis name hai chat sim .
shayad hi aap ko pata ho ki chat sim se aap whatsapp hi nhai balki facebook messenger, line, telegram ka bhi use kar sakte hain. 


ye bhi jane-  facebook jaise apna social media site free me kaise banaye best guide


Chat Sim Kya Hai?



chat sim dunya ka pahla aisa sim card hai jisme bina kisi internet ke sabhi chat application chalaye jaa sakte hain. is se aap unlimited text massage bhej sakte hain aour receive kar sakte hain.  likin photo, video, aour audio nahi bhej sakte is ke liye aap ko alag se pack lena hoga.


also read- champcash mobile app se free unlimited dollar aour recharge

Kaise Kaam Karta Hai Chat Sim?



chat sim jaise hi phone me lagate hain waise hi local network operates ko search kar data se connect ho jata hai. is par company ka kahna hai ki sim card lagte hi aas paas moujud sabse best network ko ye connect karta hai. connect hote hi aap chat shuru kar sakte hain. chat sim use karte hi aap sabhi chat application ko bina internet connection ke kar sakte hain.


ye bhi jane4g plan 50 rupye me 1 gb data 3 month ki validity ke sath

Kaise Chat Sim Milega?



chat sim duniya ke 150 deshon me uplabdh hai jise india bhi shamil hai. india me is ke seva ka labh uthane ke liye aap ko 900 rupye saalaana (yearly ) chukana hoga. is se judi ek aour khas baat hai wo ye ki aap ko chat sim kisi store par nahi milega agar aap ise lena chahte hai to aap ko ise online order kar ke magana hoga.



to doston ye article aap ko kaisa laga hame comment kar sakte hain aour is post ko apne facbook aour twitter par jarur share karen  aour latest new update ke liye apna e-mail subscribe karen.


thanks for visit.





Share:

Monday, May 23, 2016

Bihar Board Examination 10th Result 2016

Hi students main jaanta hun ki aap sabhi ko badi besabri se intezar hai apne result ke aane ka to ab aap ka intzar khatm huwa aour aap ka 10th ka result ab aapke samne hoga jo student apne result ko paana chahte hain wo is page ki update ko follow kar sakte hain.aour apna result aasani se paa sakten hain aap ke mehnat ka fal ab milne wala hai jo kadi mehnat aap ne kiya hai us ka to parinaam aane wala hai aour ab aage future ki baat kiya jaye ki agle saal kaisi taiyari honi chahiye jis se hame is bar se achha number mile aour ham ek alag pahchan ke sath ubhren to dosto is ke liye hame apne aap ko fir se taiyar karna hoga ek naye josh ke sath ek nayi umang ke sath is ke liye hame pahle se hi planing aour apne aap se ek sanklp lena hoga ki hame is saal is tarh taiyari karni hai ki hame ek alag pahchan mil sake.
pass hona to bas ek dil ko tasalli dene wali baat hai hame kamyabi chahiye to top aour jila top aour stat top hona hoga.
ek baar jara is ehsas ko feel kar ke dekhen ki kaisa mahsoos hota hai agar ham stat top karte hain to doston me hamari ek alag image hogi aour har tarf hamara charcha hoga jis ke liye ham taraste hai news paper me pahle page par photo ke sath name hoga jise pure deh ke log padhenge is se samaj me aap ke aour aapke pariwaar ka maan badhega aour jab aap future me kabhi kisi job ke liye jayenge to sabse pahle aap ka selection hoga aour bhi bahut se fayde hain jo ki aap paa sakte hain is ke liye sirf thodi si mehnat karn hoga bas apne din charya me padhayi ko importance dena hoga aour padhayi ko man se karna hoga ek target ke sath ki mujhe is level par pahunchna hai fir dekhiye ki aap us level par kitni aasani se pahuchte hain .




bihar board result 2016 post




10th ka result pane ke betab sabhi doston ka intazar ab khatm hone wala hai kyon ki bihar examination board ne apna 10th ka result ab bihar bord ki official site par uplabhd ho chuki hai aap apna result asaani se dekh sakte hain. waise pchhle saalon ke muqable paas hone wale chhatron ki percentage jyadah hai aap neeche map dekh sakte hain ki kis tarh 2012, 2013, 2014 aour 2015 ke muqable 2016 me 90% se bhi upar students pass huwe hain to ab aap is se andaaza laga sakte hai ki aap ki mehnat kya rang layi hai bilkul sahi rang hai kyon ki mehnat kabhi vifal nahi hoti hai aap is tarah lagan se aage bhi padhayi ke prati apne man ko laga kar rakhen aour kaamyab hote rahen meri shubh-kaamna aap ke sath hai.





10th result is now Available 
Enter Your Registration/ Roll Number:






Result Kaise Dekhe?


sabse pahle aap ko necche diye link par click karna hai jis se aap bihar board ki  official website par pahunch jayenge.


2- ab wahan aap ko matric result dekhna hai.

3- us par click karna hai .

4- ab apna roll code aour roll number dalna hai.

5- ab submit button par click karna hai.

6- yahan aap apna result dekh sakte hain .

7- aap chahen to apna result ki copy print bhi kar sakte hain iske liye aap ko print button par click karna hoga 


hamari best wishes hai aap ke result ke liye 


to friends aap apne doston ke sath facebook aour tweeter par is post ko share karna na bhule aour hamare latest update ke liye hamare saath apna E-mail subscribe karen aour payen free new updat hamari se se seedhe aap ke in box me .



thanks for visit on this site



Share:

Sunday, May 15, 2016

Top 10 Best Domain Registration Sites 2016 Ki Most Popular Company

Waise to bahut si web par domain registrar aour wordpress hosting company moujud hai jo bahut si service provide karti hai jaise domain name registration, web hosting, web designing, VPS servers hosting, cloud storage aour e-mail service etc. to site name register karne se pahle aap ko check karna jaruri hota hai ki jis domain registrar se aap apne site ka name register kar rahe hain us ke key features kya hain jo ki hame best domain provide kar sake is ke liye hame sirf uske price par dhyan nahi dena chahiye balke aour bhi bahut sari baaton ko hame dekhna chahiye.

jaise :-

instant 24/7 technical support, live chats facility, reliability, security, pricing, aour flexibility 
ye sabse popular cheejen hai jinko hame domain lene se pahle check karna jaruri hota hai tabhi ham ek best quality ka apni sites ke liye top name register kar payenge .
bahut se blogger is ko nazar andaz kar dete hain aour apne sites ke liye kahin se bhi domain register kar lete hai aour nateeja ye hota hai ki ya to unko apna blog band karna padta hai aour nahi to fir se dusre site se domain lena padta hai ise se unko dobara mehnat karna padta hai .
to main aap ko ray dunga ki aap jab bhi man banaye ki mujhe apne site ke liye ek top ka domain ragister karna hai to aap in sab cheejon ko jarur dekh kar hi choose karen.
main aap ki help ke liye kuchh best domain registrar aour hosting provided company ki list de raha hun jo ki top ki hain aap chahen to yahan se apne liye chioose kar sakte hain.


top 10 domain logo


Domain Kyon Jaruri Hai?



hamara blog agar blogger platform par hai to ham dekhte hain ki hamare site ke sath .blogspot.com laga hota hai aour agar hamara site wordpress par hai to .wordpress.com laga hota hai aise hi aap ka blog chahe kisi par ho aap ka blog ek website ki tarah nahi hota jis se har koi samjh leta hai ki aap ka site free ka hai aour is se logo ko aap ke site url type karne me bhi pareshani hoti hai jiski wajah se hame bahut kam traffic milta hai . to aap ko paisa kamana hai apne site se to aap ko ek badhiya sa domain register karna hoga jaise facebook.com, google.com is tarah ka site jo hota hai is par taraffic bhi aata hai aour logon ko ye samajh aataa hai ki ye ek website hai to log is par aana pasand karte hai isi liye hame domain lena jaruri hota hai taki ham apne site se paisa kama saken.

Top 10 Domain Registrar 2016


ipage logo


i page ek world me cheapest hosting provided site hai jo aap ko kam budget  me hosting aour domain service deti hai .
i page kayi tarah ki service deti hai jaise:-

ipage services :

free site lock security, free toll free number, site analytics, free yellow page listening, daily spam aour malware scanning aour free  200 $ tak internet marketing ke liye.

aap asaani se i page par apni pasand ka site name agar uplabdh hai to register kar sakte hain. iske sath is ka web hosting bhi ek dam kam price ka hai. i page ki khas baat hai ki aap 24 $ me 1 year ki hosting ke saath aap ko domain bhi free me milega 99% sever up time ke sath. 
to ye kammal ka offer hai lowest budget me apne site ko hosting aour domain dono mil jayega jo ki  bahut badhiya baat hai.



name cheap ek grate company hai new website address lowest price me register karne ke liye.  is company ko host review ke liye "Reader choice award 2013" diya ja chuka hai.
name cheap kayi tarah ki service provide karti hai jaise:-

name cheap services:

shared hosting, reseller hosting, VPS hosting, outstanding 24/7 live chat support, dedicated servers aour e-mail hosting cheapest price me uplabdh hai
iska domain management system bahut flexible hai.
name cheap san-2000 me Richard Kirkendall ke dwara anaya gaya tha.
aap yahan se apne new site ke liye domain bahut hi cheapest price me le sakte hain.



GO TO SITE>>>


godaddy logo







godaddy ek aour badhiya domain registrar hai . aour ye bhi hosting provide karta hai, 
godaddy ek world ki largest domain registrar company hai iske sath ICANN-accrideted registrar aour e business software sell karta hai aour service deta hai.
iska hosting plan 4.99$/month hai jo ki same bluehost aour hostgator ke price ke baraber hai. is ka customer support service bahut jabardast hai is par aap hindi me bhi baat kar sakte hain jo ki toll free number hota hai.
magar is ka hosting abhi achh nahi hai aap ko best hosting provided company ke bare me jaan-na hai to ye read kar sakten hain. top 10 best web hosting company 2016


bluehost wordpress ki most popular hosting aour domain provided company hai.
wordpress ke official developers aour adhik users is ke liye salah deten hai wordpress site ke liye ye behtar hai.
agar aap plan kar rahe hain ki wordpress platform par apna site banaye to bina jhi-jhak ke aap is ko choose kar sakte hain. 

bluehost service :-

Free domain name hosting ke sath, shared aour dedicated hosting, VPS hosting, domain, site security aour bhi bahut kuchh...

is ke 24/7 customer service itni badhiya hai ki is company ko aour bhi awesome banate hain. is ke users batate hain ki is ki hosting itni badhiya hai ki kabhi aap ko contact karne ki jarurat hi nahi padegi. 
hostgator logo




hostgator ek achchh kam price me  domain aour wordpress hosting provider company hai.  hostgator ko bhi bahut se wordpress experts is ko choose karne ki salah dete hain. iska hosting plan new aour purane sites dono ke liye bahut affordable hai. aap yahan se hosting le sakte hai 4.54 $/month free domain name ke sath. ab tak hostgator se kareeb 9,000,000 sites hosting le chuki hain aour tejee se ye iski sankhya badhti jaa rahi hai. aap bhi yahan se hosting aour domain le sakte hain.



GO TO SITE>>>




ye bhi padhen: 50 rupye me 1GB 4G data 3 maheene ke liye


1and1 logo





1and1 ek aour behtar hosting aour domain provider company hai . 1&1 apne customer ka dhyan achhe se rakhta hai pahle year ka hosting palan aour domain price bhi kam hai . aap yahan se first year domain le sakte hain 1.2 $ me aour special hosting offer ke sath. 1&1 1988 se domain aour hosting deta aa raha hai ab tak 19 million se jyada logon ne yahan se hosting aour domain business aour private dono ke liye register kiya huwa hai.

1&1 service 

linux aour window hosting, domain registration, virtual service, web hosting, dedicated servers, e-mail aour E commerce solution .


GO TO SITE>>>




inmotion hosting






inmotion hosting  bhi ek badhiya company hai is se bhi bahut log apne site name register karwate hai aour hosting lete hain.

inmotion services 

web hosting, domain name registration, site building tools, aour bahut si achchhi tools ek aour behter service hai iski agar aap is ki hosting se na-khush hain to ye company aap ko 90 din money back guarantee bhi deti hai.



GO TO SITE>>>




name.com hosting



name.com ne bhi internet par domain aour hosting ke mamle me apna achchha khasa kadam jamaya huwa hai. jabki iski hosting plan hai 4.99$/month hai aour domain price hai 10.99$/year. is company ki shuruwat bill mushkin ke dwara 2003 me huyi. 

name.com services

domain registration, web hosting, SEO tutor, website builder, one-click wordpress install, SSl certificate, E-mail services, Google app aour bhi bahut kuchh..



GO TO SITE>>>



register.com hosting site




register.com company 1994 me aayi hai aour million se bhi jyada is ke users hai aour is copany par wishwas karte hai .  is ka 24/7 live support better hai.

register.com services

domain registration, shared aour dedicated hosting, E-mail services, online marketing, E-commerce aour SSL services.



GO TO SITE>>>



dream host hosting site




dream host bhi ek badhiya domain registrar ke roop me jaana jata hai  bahut se wordpress user is ki salah dete hai wordpress blog ke liye ye behtar hai aap yahan se domain 11.95$/year aour hosting 8.95$/month le sakte hain iska cost mahnga hai par service bahut achchha hai.

dream host services

domain registration, shared aour dedicated hosting plans, cloud services, VPS servers, 24/7 live support, 97 din money back guarantee deta hai jo sabse jyada hai 



GO TO SITE>>>


aap in me se jis company se apna hosting aour domain lena chahen aap le sakte hai in sabhi ka performance bahut badhiya hai .

to friends is article ko apne doston ke sath facbook tweeter aour social sites par share jarur karen.

thanks for reading.


Share:

Thursday, May 12, 2016

top 10 best webhosting company 2016 ki full detail

aap blogger hain aour blogging karte hai to ye baat to achhi tarah se jaante honge ki web hosting kya hai aour kis kaam aati hai aour aap ka blog wordpress par hai tab to aour bhi achhe se janten honge ki ye kis kam ki hai kyon ki word press par aap bina hosting ke blogging nahi kar sakte to is me ham bahut narbhas type ke ho jate hai ki koun sa company badhiya hai aour kis ke kya feature hain to is me main aap ki help karta hun. is article me main top 10 web hosting company ka jankari dunga puri detail me to aap is article ko badhiya se padhiye taki sab cheej samajh me aa jaye.
pahle ham ek achhi hosting ka fayda samajh lete hain hosting lene ka matlab ki hamare site par jo bhi traffic hai use kisi bhi tarh ka pareshani nahi hona chahiye yani agar hamare site par jyadah traffic hota hai aour hosting achchhi nahi hai to sever down hone lagta hai jis se hamare site ke users ko hamare site par aane me problem hoti hai is karan wo dusre site par move kar jate hai is se hame nuksan hota hai aour agar achchha hosting hamne liya hai to aisi pareshani nahi hoti hamara site achchhe se khulega aour fast khulga jis se hamare site ki traffic badhegi jo ki hamare liye badhiya baat hai to main kahunga ki aap achchhe-se achchha hosting choos karen .


top 10 webhosting sites image


top hosting koyn leni chahiye?


top hosting koyn leni hoti hai waise to aap jaante hi hain agar nahi jante to main aap ko bata dun ki hamare blog ka bhwisya hosting par depend karta hai yani top hosting lete hain to aap ka blog top level par hoga aour aap ne low hosting liya to low level par hoga to ab main kah sakta hun ki aap samajh gaye honge ki aap ko kya choose karna hai zahir si baat hai koi bhi blogger apne blog ko top par hi dekhna chata hai aour is ke liye hi sara  mehnat karta hai to aise me us mehnat ka fayda tab hai jab aap ka site achhi traffic achive karta hai aour is ke liye achhi hosting ka role bahut aham hai .


kya hame free hosting leni chahiye?


free web hosting ke baare me jo log jaante hain wo to aisa sawal apne zehan se nikal hi dete hain aour main bhi aap ko is ki salah  nahi dunga aour na hi koi success full blogger aap ko aisa karne ki ray dega ki aap koi free hosting choose kar lo han aap new blogger hain aour abhi new start kar rahe hain to aap testing ke tour par aap free hosting le sakte hain aour jab aap ko samajh aa jaye to aap paid wala le le taki aap ko ek success full blogger ban-ne me koi badh na pahunche.

to friends main aap ko bata raha hun ki top 10 hosting sites 2016 ki koun si hai aap in me se kisi se bhi jis par aap ko lagta hai ki ye mere liye theek hai us se aap le sakte hain.

top 10 hosting sites



ehost.com logo




price from- $ 2.75


feature -

* free online store (cPanel) 

* 45 day money bake guarantee 

* step by step tutorials 

* Unlimited E-mail Address

Review - 9.8



GO TO SITE>>>




i page logo





price from $ 1.99

feature-

* Free domain for 1 year

* $ 500 Free advertising credits

* Calls answer in 1 minute on Average 

* free yellowpages.com listing 

Review- 9.5

also read this-  top 10 domain provided company 2016


GO TO SITE>>>



web.com logo





Price form- $ 0.50

Feature - 

* Free domain registration 

* 30 day money back guarantee 

* 24/7 Live Costumer support 

* free website building service 

Review- 8.7



GO TO SITE>>>


bluehost.com logo




Price From- $ 3.49

Feature-

* Unlimited space & Bandwidth 


* 30 day money back guarantee 


* 24/7 Live chat 


* simple scripts 1-clicks installs


Review- 8.4




GO TO SITE>>>




ye bhi padhen:- facebook jaisa apna social media sit free me kaise banaye



justhost.com logo







Price from- $ 2.50

Feature-


* Unlimited space & Bandwidth


* $ 200 Free advertising credits 


* 24/7 customer support


* full time network monitoring 


Review- 8.1




GO TO SITE>>>




hostpapa logo







Price From- $ 2.95

Feature-


* Free domain registration 


* 30 day money back guarantee 


* 24/7 Multilingual support


* free 1:1 session with experts 

Review- 7.8





GO TO SITE>>>




1&1.com logo










Price from- $ 0.99

Feature-


* Unlimited websites


* 30 day money- back guarantee


* Monthly site protection scan


* 140+ Click & build apps


Review-  7.5




GO TO SITE>>>



ideahost.com logo






Price from- $ 2.99 


Feature- 


* Unlimited domains 


* 45 days money back guarantee 


* step by step tutorials 


* extensive marketing tools 


Review-  6.9




GO TO SITE>>>



hostgator.com logo





price from- $ 4.86

feature-



* unlimited e-mail address 


* 45 days money back guarantee


* 24/7 technical support


* 4500 free templates 



review- 6.3




GO TO SITE>>>



godaddy.com logo





price from- $ 3.99

feature - 

* unlimited bandwidth 


* 125 + free application 


* award winning 24/7 support 


* 24/7 security monitoring and DDoS protection 


review- 6.1



GO TO SITE>>>




ye sabhi top sites hai aap inme se kisi se bhi jo aap ko aap ke hisab ka lage aap hosting le sakte hain aour apne site ko behtar operate kar sakte hain .


to dosto is article ko apne friends ke sath share jarur karen aour apna e-mail bhi hamare site ke sath subscribe karen taki jo bhi jankari share ki jaye to sab se pahle aap ko apne e-mail par mile aap neeche subscribe kar sakten hain.


thanks for reading.



Share:

Copyright © Best internet site for new technology | Powered by Blogger
Design by SimpleWpThemes | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com